Kala jadu ka tor Kala jadu ka tor, Islam hamain insaniyat ka daras deta hai or hamain un tamam bato se rokta hai jiise kisi ko nuqsan pohnche. Quran-e-pak mn ik irshad hai jis ka mafhoom ye hai ke “jis ne ik insan ko qatal kia isne goya puri insaniyat ka qatal kia.” Jadu ik haqeeqat hai qk inka zikar Allah Pak ne Quran-e-Pak main bi kia hai. Kala jadu islam main haram hai or iski saza bi bht ziyada hai. Islam men kala jadu khatam karne ka tor diya dua hai. Kala jadu karne walo pe jannat haram hojati hai or dunya mn bi Allah Pak unhain apni rehmat se marhoom kardeta hai. Allah Pak is dunya main insan ko beshumar aazmayshon se guzarta hai or jo log aazmayesh per pure utarte hain unhain Dunya-o-Akhirat dono mn...